isi jagah pe andheron ke ghol palte hain
isī jagah pe añdheroñ ke ġhol palte haiñ
so bām-o-dar pe charāġhoñ kā nuur malte haiñ
vo ḳhush-ḳhisāl agar dastaras meñ aa jaa.e
hamāre haath hamāre laboñ se jalte haiñ
tumhāre hijr ko fāqa-kashī nahīñ sauñpī
tumhāre dard mire āñsuoñ pe palte haiñ
tumhāre qurb kī hiddat kā hī tamāshā hai
zarā zarā sā jo ham raat bhar pighalte haiñ
mirā nasīb hai aise maqām-e-ibrat par
jo haath rakhte nahīñ haiñ vo haath malte haiñ
hamārī aañkh ko mat sauñp ye matā-e-girāñ
ki tere ḳhvāb in āñkhoñ se kab sañbhalte haiñ
tumhārī chup kā taqāza hai ḳhālī-pan 'abdul'
na sar jhukāo ḳhudārā faqīr chalte haiñ
isi jagah pe andheron ke ghol palte hain
so baam-o-dar pe charaghon ka nur malte hain
wo KHush-KHisal agar dastaras mein aa jae
hamare hath hamare labon se jalte hain
tumhaare hijr ko faqa-kashi nahin saunpi
tumhaare dard mere aansuon pe palte hain
tumhaare qurb ki hiddat ka hi tamasha hai
zara zara sa jo hum raat bhar pighalte hain
mera nasib hai aise maqam-e-ibrat par
jo hath rakhte nahin hain wo hath malte hain
hamari aankh ko mat saunp ye mata-e-giran
ki tere KHwab in aankhon se kab sanbhalte hain
tumhaari chup ka taqaza hai KHali-pan 'abdul'
na sar jhukao KHudara faqir chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.