isi ko han isi ko ishq ka nazrana kahte hain
Interesting Fact
(23rd July, 1945)
isī ko haañ isī ko ishq kā nazrāna kahte haiñ
sarishk-e-ġham ko ya.anī gauhar-e-yak-dāna kahte haiñ
hañsī aatī hai mastoñ ko junūñ-nā-āshnāoñ par
kare jo hosh kī bāteñ use dīvāna kahte haiñ
kisī ko ġham kisī kā hai kisī ko ġham kisī kā hai
ba-unvān-e-digar sab ek hī afsāna kahte haiñ
uThā degī unheñ duniyā kisī din apne hāthoñ se
jo is mehmāñ-sarā meñ ḳhud ko sāhab-ḳhāna kahte haiñ
nahīñ ehsās kuchh bhī apnī mohsin-nā-shanāsī kā
chaman meñ rah ke bhī sabza ko ham begāna kahte haiñ
tasavvur ne badal dī hai dil-e-barbād kī sūrat
ye ka.aba thā magar ab ham ise but-ḳhāna kahte haiñ
samā.ī rakhne vāloñ kā dahan vā ho nahīñ saktā
jo haiñ kam-zarf rāz-e-bāda-o-paimāna kahte haiñ
samajh saktā nahīñ koī zabāñ ahl-e-mohabbat kī
jise apnā samajhte haiñ use begāna kahte haiñ
nazar aatā nahīñ duniyā kā naqsha mo'atabar koī
use bastī samajhte haiñ na ham vīrāna kahte haiñ
ba-qadr-e-ārzū koī yahāñ rahne nahīñ paatā
ġhalat kyā hai jo duniyā ko musāfir-ḳhāna kahte haiñ
patange hī ke sar sahrā bañdhe kyoñ sarfaroshī kā
jo apnī jaan par khele use parvāna kahte haiñ
aqīdat se sar-e-momin jhukā hai sang-e-asvad par
isī ko ittihād-e-ka.aba-o-but-ḳhāna kahte haiñ
nazar aatā hai sarmastī kā aalam zarre zarre meñ
isī nisbat se ham duniyā ko ik mai-ḳhāna kahte haiñ
'nazar' aur 'shād' kī ġhazloñ pe 'tālib' kā ġhazal kahnā
vo jur.at hai jise sab jur.at-e-rindāna kahte haiñ
isi ko han isi ko ishq ka nazrana kahte hain
sarishk-e-gham ko yani gauhar-e-yak-dana kahte hain
hansi aati hai maston ko junun-na-ashnaon par
kare jo hosh ki baaten use diwana kahte hain
kisi ko gham kisi ka hai kisi ko gham kisi ka hai
ba-unwan-e-digar sab ek hi afsana kahte hain
uTha degi unhen duniya kisi din apne hathon se
jo is mehman-sara mein KHud ko sahab-KHana kahte hain
nahin ehsas kuchh bhi apni mohsin-na-shanasi ka
chaman mein rah ke bhi sabza ko hum begana kahte hain
tasawwur ne badal di hai dil-e-barbaad ki surat
ye kaba tha magar ab hum ise but-KHana kahte hain
samai rakhne walon ka dahan wa ho nahin sakta
jo hain kam-zarf raaz-e-baada-o-paimana kahte hain
samajh sakta nahin koi zaban ahl-e-mohabbat ki
jise apna samajhte hain use begana kahte hain
nazar aata nahin duniya ka naqsha mo'atabar koi
use basti samajhte hain na hum virana kahte hain
ba-qadr-e-arzu koi yahan rahne nahin pata
ghalat kya hai jo duniya ko musafir-KHana kahte hain
patange hi ke sar sahra bandhe kyon sarfaroshi ka
jo apni jaan par khele use parwana kahte hain
aqidat se sar-e-momin jhuka hai sang-e-aswad par
isi ko ittihad-e-kaba-o-but-KHana kahte hain
nazar aata hai sarmasti ka aalam zarre zarre mein
isi nisbat se hum duniya ko ek mai-KHana kahte hain
'nazar' aur 'shad' ki ghazlon pe 'talib' ka ghazal kahna
wo jurat hai jise sab jurat-e-rindana kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.