Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi liye to khaDe hum buton ki saf mein hain

Shahdil Shams

isi liye to khaDe hum buton ki saf mein hain

Shahdil Shams

MORE BYShahdil Shams

    isī liye to khaḌe ham butoñ saf meñ haiñ

    ḳhudā-parast bhī jab kāfiroñ saf meñ haiñ

    haram ke paas banā.e ga.e haiñ maiḳhāne

    ham aise rind bhī ab hājiyoñ saf meñ haiñ

    hai kaisā vaqt ḳhudāyā suḳhan pe aayā huā

    latīfa-go bhī ka.ī shā'iroñ saf meñ haiñ

    kamān-dāroñ se kah do abhī na vaar kareñ

    hamāre dost abhī dushmanoñ saf meñ haiñ

    hamāre zaḳhm purāne udheḌne vaale

    sunā hai aap to baḳhiya-garoñ saf meñ haiñ

    ye kin dinoñ meñ haiñ nīlām hone vaale ham

    khaḌe ġhulām bhī saudāgaroñ saf meñ haiñ

    hamāre naam pe karte haiñ qatl aaj bhī log

    shahīd ho ke bhī ham qātiloñ saf meñ haiñ

    isi liye to khaDe hum buton ki saf mein hain

    KHuda-parast bhi jab kafiron ki saf mein hain

    haram ke pas banae gae hain maiKHane

    hum aise rind bhi ab hajiyon ki saf mein hain

    hai kaisa waqt KHudaya suKHan pe aaya hua

    latifa-go bhi kai sha'iron ki saf mein hain

    kaman-daron se kah do abhi na war karen

    hamare dost abhi dushmanon ki saf mein hain

    hamare zaKHm purane udheDne wale

    suna hai aap to baKHiya-garon ki saf mein hain

    ye kin dinon mein hain nilam hone wale hum

    khaDe ghulam bhi saudagaron ki saf mein hain

    hamare nam pe karte hain qatl aaj bhi log

    shahid ho ke bhi hum qatilon ki saf mein hain

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now