isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki
isī liye to nahīñ kaTtī raat aadmī kī
ḳhudā kī zaat se mushkil hai zaat aadmī kī
na.e ḳhayāl kī baaqī kahīñ jagah na rahe
vasī.a itnī na ho kā.enāt aadmī kī
ḳhudā kā bhī koī shāyad surāġh mil jaa.e
samajh lī jaa.e agar nafsiyāt aadmī kī
ḳhudā ne beach meñ aisā fasād barpā kiyā
adhūrī rah ga.ī duniyā se baat aadmī kī
alamiya sirf yahī hai yahī rahegā bhī
ḳhudā kā diin magar dīniyāt aadmī kī
ḳhudā ḳhud aisī jagah jān-būjh kar gayā hai
pahuñch sake na jahāñ koī baat aadmī kī
ham aur kuchh bhī raheñ haiñ purāne vaqtoñ meñ
ugal rahī hai zamīñ bāqiyāt aadmī kī
isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki
KHuda ki zat se mushkil hai zat aadmi ki
nae KHayal ki baqi kahin jagah na rahe
wasia itni na ho kaenat aadmi ki
KHuda ka bhi koi shayad suragh mil jae
samajh li jae agar nafsiyat aadmi ki
KHuda ne beach mein aisa fasad barpa kiya
adhuri rah gai duniya se baat aadmi ki
alamiya sirf yahi hai yahi rahega bhi
KHuda ka din magar diniyat aadmi ki
KHuda KHud aisi jagah jaan-bujh kar gaya hai
pahunch sake na jahan koi baat aadmi ki
hum aur kuchh bhi rahen hain purane waqton mein
ugal rahi hai zamin baqiyat aadmi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.