isi mein mast jawani hamari kheli thi
isī meñ mast javānī hamārī khelī thī
jo ab khañDar hai vo naġhmāt kī havelī thī
tū jis pe mehñdī se likhtī thī merā naam aksar
yahī yahī vo tirī phuul sī hathelī thī
huī ye mujh pe bhī maa.il to kyā ta.ajjub hai
ki shā.irī mire mahbūb kī sahelī thī
zamāna khel ajab us ke saath khel gayā
vo bevafā jo mirī zindagī se khelī thī
hamārā zarf hī kam paḌ gayā vagarna 'shabāb'
mai-e-karam to un āñkhoñ ne kuchh uñDelī thī
isi mein mast jawani hamari kheli thi
jo ab khanDar hai wo naghmat ki haweli thi
tu jis pe mehndi se likhti thi mera nam aksar
yahi yahi wo teri phul si hatheli thi
hui ye mujh pe bhi mail to kya tajjub hai
ki shairi mere mahbub ki saheli thi
zamana khel ajab us ke sath khel gaya
wo bewafa jo meri zindagi se kheli thi
hamara zarf hi kam paD gaya wagarna 'shabab'
mai-e-karam to un aankhon ne kuchh unDeli thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.