isi ne boe shukuk dil mein isi chanbeli ka nam dukh hai
isi ne boe shukuk dil mein isi chanbeli ka nam dukh hai
Khalid Nadeem Shaani
MORE BYKhalid Nadeem Shaani
isī ne bo.e shukūk dil meñ isī chañbelī kā naam dukh hai
tumhāre pahlū se lag ke baiThī huī sahelī kā naam dukh hai
vahī na jis kī makīn laḌkī ne terī bastī meñ ishq boyā
mujhe bhī darshan karāo us ke ki jis havelī kā naam dukh hai
tum in lakīroñ meñ ik ḳhushī bhī talāsh kar lo to mo.ajiza hai
ki maiñ to bachpan se jāntā huuñ mirī hathelī kā naam dukh hai
har ek rishta har ek jazba vafā mohabbat ḳhulūs sab kuchh
maiñ aur kyā kyā batā.ūñ hattā ki yār-belī kā naam dukh hai
isi ne boe shukuk dil mein isi chanbeli ka nam dukh hai
tumhaare pahlu se lag ke baiThi hui saheli ka nam dukh hai
wahi na jis ki makin laDki ne teri basti mein ishq boya
mujhe bhi darshan karao us ke ki jis haweli ka nam dukh hai
tum in lakiron mein ek KHushi bhi talash kar lo to moajiza hai
ki main to bachpan se jaanta hun meri hatheli ka nam dukh hai
har ek rishta har ek jazba wafa mohabbat KHulus sab kuchh
main aur kya kya bataun hatta ki yar-beli ka nam dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.