isi zamin pe isi aasman mein rahna hai
isī zamīñ pe isī āsmāñ meñ rahnā hai
tirā asiir huuñ tere jahāñ meñ rahnā hai
maiñ ek pal tirī duniyā meñ kyā qayām karūñ
ki umr bhar to mujhe raftagāñ meñ rahnā hai
meñ jāntā huuñ bahut saḳht dhuup hai lekin
safar meñ huuñ to saf-e-rah-ravāñ meñ rahnā hai
utar ga.ī hai to siine se mat nikāl use
ki mere ḳhuun ko terī sināñ meñ rahnā hai
na mere haath se chhuTnā hai mere neze ko
na tere tiir ko terī kamāñ meñ rahnā hai
khule raheñ jo khule haiñ qafas ke darvāze
vo kab chhuTeñge jinheñ qaid-e-jāñ meñ rahnā hai
to phir ye zindagi-e-jāvedāñ kā milnā kyā
jo har nafs nafs-e-rā.egāñ meñ rahnā hai
isi zamin pe isi aasman mein rahna hai
tera asir hun tere jahan mein rahna hai
main ek pal teri duniya mein kya qayam karun
ki umr bhar to mujhe raftagan mein rahna hai
mein jaanta hun bahut saKHt dhup hai lekin
safar mein hun to saf-e-rah-rawan mein rahna hai
utar gai hai to sine se mat nikal use
ki mere KHun ko teri sinan mein rahna hai
na mere hath se chhuTna hai mere neze ko
na tere tir ko teri kaman mein rahna hai
khule rahen jo khule hain qafas ke darwaze
wo kab chhuTenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai
to phir ye zindagi-e-jawedan ka milna kya
jo har nafs nafs-e-raegan mein rahna hai
- Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 369)
- Author : mahmood ayaaz
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.