itab mein jo tumhaare dahan se nikle hain
itaab meñ jo tumhāre dahan se nikle haiñ
vo tiir the ki sharāre badan se nikle haiñ
fusūn-e-jalva-garī kā koī asar na huā
ba-qaid-e-hosh tirī anjuman se nikle haiñ
koī maqām-e-amāñ ab nazar nahīñ aatā
bharī bahār meñ sho.ale chaman se nikle haiñ
ġham-e-hayāt ne baḳhshī fasurdagī kaisī
ye aadmī haiñ ki murde kafan se nikle haiñ
na-jāne kab se muqaddar thī dasht-paimā.ī
hazār ḳhaar mire pairahan se nikle haiñ
ye rañg-e-sub.h-e-bahārāñ ye apnī hairānī
ġhazab ḳhudā kā añdhere kiran se nikle haiñ
itab mein jo tumhaare dahan se nikle hain
wo tir the ki sharare badan se nikle hain
fusun-e-jalwa-gari ka koi asar na hua
ba-qaid-e-hosh teri anjuman se nikle hain
koi maqam-e-aman ab nazar nahin aata
bhari bahaar mein shoale chaman se nikle hain
gham-e-hayat ne baKHshi fasurdagi kaisi
ye aadmi hain ki murde kafan se nikle hain
na-jaane kab se muqaddar thi dasht-paimai
hazar KHar mere pairahan se nikle hain
ye rang-e-subh-e-bahaaran ye apni hairani
ghazab KHuda ka andhere kiran se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.