itna ehsan to hum par wo KHudara karte
itnā ehsān to ham par vo ḳhudārā karte
apne hāthoñ se jigar chaak hamārā karte
ham ko to dard-e-judā.ī se hī mar jaanā thā
chand roz aur na qātil ko ishāra karte
le ke jaate na agar saath vo yādeñ apnī
yaad karte unheñ aur vaqt guzārā karte
zindagī miltī jo sau baar hameñ duniyā meñ
ham to har baat ise aap pe vaarā karte
'josh' dhundlātā na hargiz ye mirā shīsha-e-dil
gard us kī vo agar roz utārā karte
itna ehsan to hum par wo KHudara karte
apne hathon se jigar chaak hamara karte
hum ko to dard-e-judai se hi mar jaana tha
chand roz aur na qatil ko ishaara karte
le ke jate na agar sath wo yaaden apni
yaad karte unhen aur waqt guzara karte
zindagi milti jo sau bar hamein duniya mein
hum to har baat ise aap pe wara karte
'josh' dhundlata na hargiz ye mera shisha-e-dil
gard us ki wo agar roz utara karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.