itna hi nahin hai ki tere bin na raha jae
itnā hī nahīñ hai ki tire bin na rahā jaa.e
vo jaañ pe banī hai ki jiye bin na rahā jaa.e
ab dastaras-e-shauq hai bas naam tak us ke
aksar jise sau tarah likhe bin na rahā jaa.e
ġham-burda sahī ġhuncha-e-afsurda sahī dil
tum pyaar se dekho to khile bin na rahā jaa.e
hai dil hī vo nādāñ ki ho tadbīr se naumīd
aur phir koī tadbīr kiye bin na rahā jaa.e
uftād meñ kuchh sa'ī-e-matānat nahīñ chaltī
rone ko jo rokeñ to hañse bin na rahā jaa.e
ham vo haiñ ki sad-ka.aba o sad-dair ke hote
gosha koī ta.amīr kiye bin na rahā jaa.e
kuchh der guzartī hai ki ai bulbul-e-nāshād
sayyād se naḳhchīr hue bin na rahā jaa.e
har chand ki furqat meñ tirī zahr ho jiinā
kuchh qahr hai aisā ki jiye bin na rahā jaa.e
itna hi nahin hai ki tere bin na raha jae
wo jaan pe bani hai ki jiye bin na raha jae
ab dastaras-e-shauq hai bas nam tak us ke
aksar jise sau tarah likhe bin na raha jae
gham-burda sahi ghuncha-e-afsurda sahi dil
tum pyar se dekho to khile bin na raha jae
hai dil hi wo nadan ki ho tadbir se naumid
aur phir koi tadbir kiye bin na raha jae
uftad mein kuchh sa'i-e-matanat nahin chalti
rone ko jo roken to hanse bin na raha jae
hum wo hain ki sad-kaba o sad-dair ke hote
gosha koi tamir kiye bin na raha jae
kuchh der guzarti hai ki ai bulbul-e-nashad
sayyaad se naKHchir hue bin na raha jae
har chand ki furqat mein teri zahr ho jina
kuchh qahr hai aisa ki jiye bin na raha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.