itna majbur aadmi kyun hai
itnā majbūr aadmī kyuuñ hai
aur agar hai to āgahī kyuuñ hai
har nafas nārā-e-ḳhudī kyuuñ hai
itnā ehsās-e-kamtarī kyuuñ hai
tīrgī ijz-e-sāhibān-e-nazar
raushnī tak hī raushnī kyuuñ hai
aaj hī to kisī se bichhḌe haiñ
aaj kī raat chāñdnī kyuuñ hai
log kyā jaane kyā samajh baiTheñ
'naqsh' se itnī be-ruḳhī kyuuñ hai
itna majbur aadmi kyun hai
aur agar hai to aagahi kyun hai
har nafas nara-e-KHudi kyun hai
itna ehsas-e-kamtari kyun hai
tirgi ijz-e-sahiban-e-nazar
raushni tak hi raushni kyun hai
aaj hi to kisi se bichhDe hain
aaj ki raat chandni kyun hai
log kya jaane kya samajh baiThen
'naqsh' se itni be-ruKHi kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.