itne chup kyun ho majra kya hai
itne chup kyuuñ ho mājrā kyā hai
aaj 'shā.ir' tumheñ huā kyā hai
vāqi.a ye hai the isī qābil
ham jo rusvā hue burā kyā hai
hāsil-e-kā.enāt hai is meñ
mere sāġhar ko dekhtā kyā hai
dil kī bāteñ suno nigāhoñ se
ye na pūchho ki mudda.ā kyā hai
terī ik ik adā ne luuT liyā
be-vafā.ī hai kyā vafā kyā hai
sāmne apne aa.ina rakh lo
ye na dekho mujhe huā kyā hai
zarra zarra javāb de degā
pūchhiye to zarā ḳhudā kyā hai
ab to 'shā.ir' zamāna hai dushman
rāhzan kyā hai rahnumā kyā hai
itne chup kyun ho majra kya hai
aaj 'shair' tumhein hua kya hai
waqia ye hai the isi qabil
hum jo ruswa hue bura kya hai
hasil-e-kaenat hai is mein
mere saghar ko dekhta kya hai
dil ki baaten suno nigahon se
ye na puchho ki muddaa kya hai
teri ek ek ada ne luT liya
be-wafai hai kya wafa kya hai
samne apne aaina rakh lo
ye na dekho mujhe hua kya hai
zarra zarra jawab de dega
puchhiye to zara KHuda kya hai
ab to 'shair' zamana hai dushman
rahzan kya hai rahnuma kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.