itne mahir nahin hain hum fan mein
itne māhir nahīñ haiñ ham fan meñ
jitne masrūf haiñ promotion meñ
aisī bhagdaḌ machī hai jīvan meñ
koī māhir ho kis tarah fan meñ
na koī thā na koī antar hai
rahnumāoñ meñ aur rahzan meñ
māñgtī hai ki jaise detī hai
kuchh to hai baat is bhikhāran meñ
'ishq kiije to jaan jā.eñge
kitnā sukh hai kisī ke bandhan meñ
itne mahir nahin hain hum fan mein
jitne masruf hain promotion mein
aisi bhagdaD machi hai jiwan mein
koi mahir ho kis tarah fan mein
na koi tha na koi antar hai
rahnumaon mein aur rahzan mein
mangti hai ki jaise deti hai
kuchh to hai baat is bhikhaaran mein
'ishq kije to jaan jaenge
kitna sukh hai kisi ke bandhan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.