itne pur-maghz hain dalael kya
itne pur-maġhz haiñ dalā.el kyā
dil ko kar loge apne qaa.il kyā
phir vahī sar hai aur vahī tesha
'ishq kyā 'ishq ke masā.il kyā
raushnī raushnī pukārte ho
raushnī ke nahīñ masā.il kyā
roz maidān-e-jañg bantā huuñ
mujh meñ ābād haiñ qabā.il kyā
kis qadar arziyāñ guzārī haiñ
kabhī dekhī hai merī file kyā
haath phailānā koī kam to nahīñ
peT dikhlā.e tum ko saa.il kyā
baiThe ab kirchiyāñ sameTte ho
apne raste meñ ḳhud the haa.el kyā
rāt-bhar jāgte rahe haiñ daraḳht
koī panchhī huā hai ghāyal kyā
bāt-be-bāt hañs rahe ho 'munīr'
yuuñ asar ġham kā hogā zaa.il kyā
itne pur-maghz hain dalael kya
dil ko kar loge apne qail kya
phir wahi sar hai aur wahi tesha
'ishq kya 'ishq ke masail kya
raushni raushni pukarte ho
raushni ke nahin masail kya
roz maidan-e-jang banta hun
mujh mein aabaad hain qabail kya
kis qadar arziyan guzari hain
kabhi dekhi hai meri file kya
hath phailana koi kam to nahin
peT dikhlae tum ko sail kya
baiThe ab kirchiyan sameTte ho
apne raste mein KHud the hael kya
raat-bhar jagte rahe hain daraKHt
koi panchhi hua hai ghayal kya
baat-be-baat hans rahe ho 'munir'
yun asar gham ka hoga zail kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.