itne unche martabe tak tujhko pahunchaega kaun
itne ūñche martabe tak tujh ko pahuñchā.egā kaun
maiñ huā munkir to phir terī qasam khā.egā kaun
tere raste meñ khaḌī thiiñ kaun sī majbūriyāñ
maiñ samajh lūñgā magar duniyā ko samjhā.egā kaun
mil rahī hai jab hameñ ik rāhat-e-āvārgī
lauT kar is anjuman se apne ghar jā.egā kaun
merī mā'zūlī kī sunñā chāhte haiñ sab ḳhabar
sochtā huuñ jā-nashīñ ban kar mirā aa.egā kaun
chāhtā huuñ ek chingārī maiñ is chaqmāq se
lekin is patthar se āḳhir mujh ko Takrā.egā kaun
nek logoñ ke liye maujūd ho tum ai ḳhizar
maiñ agar bhaTkā to mujh ko raah par lā.egā kaun
us ke vā'doñ meñ 'qatīl' ik husn ik rā'nā.ī hai
vo na hogā jab to us sā mujh ko bahalā.egā kaun
itne unche martabe tak tujh ko pahunchaega kaun
main hua munkir to phir teri qasam khaega kaun
tere raste mein khaDi thin kaun si majburiyan
main samajh lunga magar duniya ko samjhaega kaun
mil rahi hai jab hamein ek rahat-e-awargi
lauT kar is anjuman se apne ghar jaega kaun
meri ma'zuli ki sunna chahte hain sab KHabar
sochta hun ja-nashin ban kar mera aaega kaun
chahta hun ek chingari main is chaqmaq se
lekin is patthar se aaKHir mujh ko Takraega kaun
nek logon ke liye maujud ho tum ai KHizar
main agar bhaTka to mujh ko rah par laega kaun
us ke wa'don mein 'qatil' ek husn ek ra'nai hai
wo na hoga jab to us sa mujh ko bahalaega kaun
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 123)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.