itni hasin itni jawan raat kya karen
itnī hasīn itnī javāñ raat kyā kareñ
jaage haiñ kuchh ajiib se jazbāt kyā kareñ
peḌoñ ke bāzuoñ meñ mahaktī hai chāñdnī
bechain ho rahe haiñ ḳhayālāt kyā kareñ
sāñsoñ meñ ghul rahī hai kisī saañs kī mahak
dāman ko chhū rahā hai koī haat kyā kareñ
shāyad tumhāre aane se ye bhed khul sake
hairān haiñ ki aaj na.ī baat kyā kareñ
itni hasin itni jawan raat kya karen
jage hain kuchh ajib se jazbaat kya karen
peDon ke bazuon mein mahakti hai chandni
bechain ho rahe hain KHayalat kya karen
sanson mein ghul rahi hai kisi sans ki mahak
daman ko chhu raha hai koi hat kya karen
shayad tumhaare aane se ye bhed khul sake
hairan hain ki aaj nai baat kya karen
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 393)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.