itni jaldi se faeda kya hai
itnī jaldī se fā.eda kyā hai
dekh lene do mājrā kyā hai
tū bhale chhoḌ jā magar ye batā
ham purāne haiñ to nayā kyā hai
ai ḳhudā saath meñ jo hai tū agar
fauj kyā aur qāfila kyā hai
maiñ ne dafnā.e vāldain apne
mujh se pūchho ki hausla kyā hai
itni jaldi se faeda kya hai
dekh lene do majra kya hai
tu bhale chhoD ja magar ye bata
hum purane hain to naya kya hai
ai KHuda sath mein jo hai tu agar
fauj kya aur qafila kya hai
main ne dafnae waldain apne
mujh se puchho ki hausla kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.