itni jaldi to tere fan mein nahin aa sakte
itnī jaldī to tire fan meñ nahīñ aa sakte
hijr ke khel laḌakpan meñ nahīñ aa sakte
koī dāman ho salāmat to chalo ro bhī luuñ
mere aañsū kisī katran meñ nahīñ aa sakte
ham se pāgal ko samajh paanā tire bas kā nahīñ
ham vo dariyā haiñ jo bartan meñ nahīñ aa sakte
ham haiñ zanjīroñ kī khan khan ke bigāḌe hue log
terī pāzeb kī chhan-chhan meñ nahīñ aa sakte
ye mire ġham to kisī aur pe jachne se rahe
ye vo kapḌe haiñ jo fashion meñ nahīñ aa sakte
itni jaldi to tere fan mein nahin aa sakte
hijr ke khel laDakpan mein nahin aa sakte
koi daman ho salamat to chalo ro bhi lun
mere aansu kisi katran mein nahin aa sakte
hum se pagal ko samajh pana tere bas ka nahin
hum wo dariya hain jo bartan mein nahin aa sakte
hum hain zanjiron ki khan khan ke bigaDe hue log
teri pazeb ki chhan-chhan mein nahin aa sakte
ye mere gham to kisi aur pe jachne se rahe
ye wo kapDe hain jo fashion mein nahin aa sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.