Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itni muddat baad mile ho kuchh to dil ka haal kaho

Syed Shakeel Desnavi

itni muddat baad mile ho kuchh to dil ka haal kaho

Syed Shakeel Desnavi

MORE BYSyed Shakeel Desnavi

    itnī muddat ba.ad mile ho kuchh to dil haal kaho

    kaise biite ham bin pyāre itne māh-o-sāl kaho

    ruup ko dhokā samjho nazar phir māyā-jāl kaho

    priit ko dil rog samajh lo janjāl kaho

    āñkhoñ dekhī kyā batlā.eñ haal ajab kuchh dekhā hai

    dukh khetī kitnī harī aur sukh jaise kaal kaho

    ek vafā ko le ke tumhārī saarī baazī khel ga.e

    yāroñ ne to varna chalī thī kaisī kaisī chaal kaho

    Thes lagī hai kaisī dil par ham se khiñche se rahte ho

    āḳhir pyāre aayā kaise is shīshe meñ baal kaho

    'sayyad' kyā biitī tum par kho.e kho.e rahte ho

    kuchh to dil baat batāo kuchh apne ahvāl kaho

    itni muddat baad mile ho kuchh to dil ka haal kaho

    kaise bite hum bin pyare itne mah-o-sal kaho

    rup ko dhoka samjho nazar ka ya phir maya-jal kaho

    prit ko dil ka rog samajh lo ya ji ka janjal kaho

    aankhon dekhi kya batlaen haal ajab kuchh dekha hai

    dukh ki kheti kitni hari aur sukh ka jaise kal kaho

    ek wafa ko le ke tumhaari sari bazi khel gae

    yaron ne to warna chali thi kaisi kaisi chaal kaho

    Thes lagi hai kaisi dil par hum se khinche se rahte ho

    aaKHir pyare aaya kaise is shishe mein baal kaho

    'sayyad' ji kya biti tum par khoe khoe rahte ho

    kuchh to dil ki baat batao kuchh apne ahwal kaho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Ali

    Ghulam Ali

    Source :
    • Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 85)
    • Author : Sayed Shakeel Desnavi
    • Publication : Adshot Publications, (2005)
    • Edition : 2005

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now