itni mushkil mein kabhi pahle to jaan aai na thi
itnī mushkil meñ kabhī pahle to jaañ aa.ī na thī
ai mohabbat jab mirī tujh se shanāsā.ī na thī
zindagī meñ saiñkaḌoñ ġham the tire ġham ke sivā
dil meñ vīrāne to the par itnī tanhā.ī na thī
rahguzar thī hādse the fāsla thā dhuup thī
barhana-pā.ī thī lekin ābla-pā.ī na thī
bach ke tūfāñ se kisī sūrat nikal aa.e magar
ham vahāñ Duube jahāñ dariyā meñ gahrā.ī na thī
ai masīhā dekhne niklā thā maiñ terā nizām
har taraf tū thā magar terī masīhā.ī na thī
apne zaḳhmoñ kī numā.ish be-hisoñ ke shahr meñ
is dil-e-muztar kī nādānī thī dānā.ī na thī
itni mushkil mein kabhi pahle to jaan aai na thi
ai mohabbat jab meri tujh se shanasai na thi
zindagi mein sainkaDon gham the tere gham ke siwa
dil mein virane to the par itni tanhai na thi
rahguzar thi hadse the fasla tha dhup thi
barhana-pai thi lekin aabla-pai na thi
bach ke tufan se kisi surat nikal aae magar
hum wahan Dube jahan dariya mein gahrai na thi
ai masiha dekhne nikla tha main tera nizam
har taraf tu tha magar teri masihai na thi
apne zaKHmon ki numaish be-hison ke shahr mein
is dil-e-muztar ki nadani thi danai na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.