itni sari shamon mein ek sham kar lena
itnī saarī shāmoñ meñ ek shaam kar lenā
sog chand lamhoñ kā mere naam kar lenā
lauT kar yaqīnan maiñ ek roz ā.ūñgā
palkoñ pe charāġhoñ kā ehtimām kar lenā
ik janm kā maiñ pyāsā rāsta bhī hai lambā
ek qulzum-e-mai kā intizām kar lenā
ham fanā-nasīboñ ko aur kuchh nahīñ aatā
ḳhuuñ sharāb kar lenā jism jaam kar lenā
ye parind parvārda hai khulī fazāoñ kā
sabz baaġh dikhlā kar zer-e-dām kar lenā
ḳhaak se hamārī bhī ho kabhī guzar terā
bar-zabān-e-sham-o-gul kuchh kalām kar lenā
be-takallufāna aa sāda-lauh logoñ meñ
rañg-āshnāoñ meñ jashn-e-bām kar lenā
vaqt-e-shām palkoñ par jhilmilā uTheñ taare
shāmil-e-duā 'anjum' kā bhī naam kar lenā
itni sari shamon mein ek sham kar lena
sog chand lamhon ka mere nam kar lena
lauT kar yaqinan main ek roz aaunga
palkon pe charaghon ka ehtimam kar lena
ek janm ka main pyasa rasta bhi hai lamba
ek qulzum-e-mai ka intizam kar lena
hum fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata
KHun sharab kar lena jism jam kar lena
ye parind parwarda hai khuli fazaon ka
sabz bagh dikhla kar zer-e-dam kar lena
KHak se hamari bhi ho kabhi guzar tera
bar-zaban-e-sham-o-gul kuchh kalam kar lena
be-takallufana aa sada-lauh logon mein
rang-ashnaon mein jashn-e-baam kar lena
waqt-e-sham palkon par jhilmila uThen tare
shamil-e-dua 'anjum' ka bhi nam kar lena
- Book : libaas-e-zakhm (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.