itni shadid dhup thi ab ke bahaar mein
itnī shadīd dhuup thī ab ke bahār meñ
jalne lage the phuul tire intizār meñ
jitnī kamī lagī thī diye ko havā kī bas
utnī kamī rahī thī tire e'tibār meñ
mā'lūm hai hameñ ki kisī aur kī hai vo
phir bhī harām-ḳhor khaḌe haiñ qatār meñ
zillat-bharī nazar se hameñ dekhtā hai ab
shīsha jo rakh diyā hai tumhāre dayār meñ
maiñ ne nasīb chhān ke dekhā magar mujhe
miltī nahīñ hai chiiz kabhī ek baar meñ
itni shadid dhup thi ab ke bahaar mein
jalne lage the phul tere intizar mein
jitni kami lagi thi diye ko hawa ki bas
utni kami rahi thi tere e'tibar mein
ma'lum hai hamein ki kisi aur ki hai wo
phir bhi haram-KHor khaDe hain qatar mein
zillat-bhari nazar se hamein dekhta hai ab
shisha jo rakh diya hai tumhaare dayar mein
main ne nasib chhan ke dekha magar mujhe
milti nahin hai chiz kabhi ek bar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.