itni shiddat bhi kya piyas mein thi
itnī shiddat bhī kyā piyās meñ thī
raat utrī huī gilās meñ thī
us kā maiñ mustanad havāla thā
us kī ḳhushbū mire libās meñ thī
khā ga.ī vo tirī duā kā asar
ik ra.ūnat jo iltimās meñ thī
chāplūsī munāfiqat sāzish
ye sifat har kanīz-o-dās meñ thī
ḳhauf taarī thā shahr-yāroñ par
ḳhilqat-e-shahr bhī hirās meñ thī
us kī āñkhoñ meñ paḌh rahā thā maiñ
shā.irī jo abhī qayās meñ thī
us ke chehre pe dekhtā thā maiñ
jām.iyyat jo iqtibās meñ thī
shā.irī thī ki koī raqqāsa
is qadar muḳhtasar libās meñ thī
itni shiddat bhi kya piyas mein thi
raat utri hui gilas mein thi
us ka main mustanad hawala tha
us ki KHushbu mere libas mein thi
kha gai wo teri dua ka asar
ek raunat jo iltimas mein thi
chaplusi munafiqat sazish
ye sifat har kaniz-o-das mein thi
KHauf tari tha shahr-yaron par
KHilqat-e-shahr bhi hiras mein thi
us ki aankhon mein paDh raha tha main
shairi jo abhi qayas mein thi
us ke chehre pe dekhta tha main
jamiyyat jo iqtibas mein thi
shairi thi ki koi raqqasa
is qadar muKHtasar libas mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.