itni unchai se dharti ki KHabar kya jaane
itni unchai se dharti ki KHabar kya jaane
Zohheb Farooqui Afrang
MORE BYZohheb Farooqui Afrang
itnī ūñchā.ī se dhartī kī ḳhabar kyā jaane
us ko miTTī ne hī paalā hai shajar kyā jaane
dafn hote na hasīñ ḳhvāb adhūre lekin
apne marne kī ghaḌī koī bashar kyā jaane
jis musāfir kā patā pūchh rahe ho us kī
umr guzrī hai masāfat meñ vo ghar kyā jaane
us ne nafrat ke sivā aur kabhī kuchh na kiyā
phir vo bad-zāt mohabbat kā asar kyā jaane
aaj mauqa hai to yāroñ se nibhā lo yaarī
kal phir 'afrañg' rahe kaun kidhar kyā jaane
itni unchai se dharti ki KHabar kya jaane
us ko miTTi ne hi pala hai shajar kya jaane
dafn hote na hasin KHwab adhure lekin
apne marne ki ghaDi koi bashar kya jaane
jis musafir ka pata puchh rahe ho us ki
umr guzri hai masafat mein wo ghar kya jaane
us ne nafrat ke siwa aur kabhi kuchh na kiya
phir wo bad-zat mohabbat ka asar kya jaane
aaj mauqa hai to yaron se nibha lo yari
kal phir 'afrang' rahe kaun kidhar kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.