Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

itr-e-firdaus-e-jawan mein ye basae hue honT

Ali Sardar Jafri

itr-e-firdaus-e-jawan mein ye basae hue honT

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    itr-e-firdaus-e-javāñ meñ ye basā.e hue hoñT

    ḳhūn-e-gul-rañg-e-bahārāñ meñ nahā.e hue hoñT

    ḳhud-baḳhud aah larazte hue bosoñ tarah

    mere hoñToñ latāfat ko jagā.e hue hoñT

    dast-e-fitrat ke tarāshe hue do-barg-e-gulāb

    dil ke TuuTe hue TukḌoñ ko banā.e hue hoñT

    zulm aur jabr ke ahkām se ḳhāmosh magar

    mohr paimān-e-mohabbat lagā.e hue hoñT

    itr-e-firdaus-e-jawan mein ye basae hue honT

    KHun-e-gul-rang-e-bahaaran mein nahae hue honT

    KHud-baKHud aah larazte hue boson ki tarah

    mere honTon ki latafat ko jagae hue honT

    dast-e-fitrat ke tarashe hue do-barg-e-gulab

    dil ke TuTe hue TukDon ko banae hue honT

    zulm aur jabr ke ahkaam se KHamosh magar

    mohr paiman-e-mohabbat ki lagae hue honT

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 158)
    • Author : Ali Ahmad Fatmi
    • Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now