itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua
itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua
Ajmal Siddiqui
MORE BYAjmal Siddiqui
itrātā garebāñ par thā bahut, rah-e-ishq meñ kab kā chaak huā
vo qissa-e-āzādāna-ravī, us zulf ke hāthoñ paak huā
kyā kyā na paḌhā is maktab meñ, kitne hī hunar sīkhe haiñ yahāñ
iz.hār kabhī āñkhoñ se kiyā kabhī had se sivā bebāk huā
jis din se gayā vo jān-e-ġhazal har misre kī sūrat bigḌī
har lafz pareshāñ dikhtā hai, is darja varaq namnāk huā
ḳhush rahiyo sun ai bād-e-sabā kahīñ aur tū apne naaz dikhā
tū jis ke baal uḌātī thī vo shaḳhs to kab kā ḳhaak huā
itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua
wo qissa-e-azadana-rawi, us zulf ke hathon pak hua
kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan
izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua
jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigDi
har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua
KHush rahiyo sun ai baad-e-saba kahin aur tu apne naz dikha
tu jis ke baal uDati thi wo shaKHs to kab ka KHak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.