ittifaqan mile the wo sar-e-rah
ittifāqan mile the vo sar-e-rāh
phir na uTThī kisī taraf bhī nigāh
hai tabassum bajā.e ḳhud ik aah
ai ġham-e-āshiqī ḳhudā kī panāh
ġham uThātā huuñ shukr kartā huuñ
ishq-e-bechārgī ḳhudā kī panāh
zindagī is qadar zalīl na kar
ab vo milte bhī haiñ to bar-sar-e-rāh
be-ta.alluq bhī haiñ vo mujh se 'rāz'
merī barbādiyoñ pe bhī hai nigāh
ittifaqan mile the wo sar-e-rah
phir na uTThi kisi taraf bhi nigah
hai tabassum bajae KHud ek aah
ai gham-e-ashiqi KHuda ki panah
gham uThata hun shukr karta hun
ishq-e-bechaargi KHuda ki panah
zindagi is qadar zalil na kar
ab wo milte bhi hain to bar-sar-e-rah
be-talluq bhi hain wo mujh se 'raaz'
meri barbaadiyon pe bhi hai nigah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.