iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko
iztirāb aisā huā dil kā sahārā mujh ko
koī Thahrāv nahīñ ḳhud meñ gavārā mujh ko
sar uThātī hai vo tajdīd kī ḳhvāhish mujh meñ
naqsh-gar sochne lagtā hai dobāra mujh ko
maiñ tahī-dast khaḌā thā sar-e-sahrā-e-hayāt
aarzū ne tirī yak-laḳht pukārā mujh ko
jā pahuñchnā kisī rif.at ko nahīñ hai dushvār
haañ! Thaharne kā vahāñ chāhiye yaarā mujh ko
dekh ai merī zabūñ-hālī pe hañsne vaale
vaqt kī dhuup ne kis darja nikhārā mujh ko
ek kankar sā mozāhim meñ rahūñgā kab tak
le hī jā.egā bahā kar koī dhārā mujh ko
vaqt ne jaane banānā hai mujhe kyā 'sārim'
gardish-e-chāk se ab tak na utārā mujh ko
iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko
koi Thahraw nahin KHud mein gawara mujh ko
sar uThati hai wo tajdid ki KHwahish mujh mein
naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko
main tahi-dast khaDa tha sar-e-sahra-e-hayat
aarzu ne teri yak-laKHt pukara mujh ko
ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar
han! Thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko
dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale
waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko
ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak
le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko
waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim'
gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.