Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya

Natiq Gulavthi

iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    iztirāb-e-dil meñ aa kar davām aa gayā

    zindagī ko ek hālat par qayām aa gayā

    ittifāqan is galī se le baḌhī umr-e-ravāñ

    maiñ to samjhā thā ki ab merā maqām aa gayā

    ho ga.ī āvāragardī be-gharī parda-dār

    kaam jitnā ham ko aatā thā vo kaam aa gayā

    bandagī-āmoz bazm-e-zindagī bechārgī

    aadmī ko jab ġharaz aTkī salām aa gayā

    intizām-e-roz-e-ishrat aur kar ai nā-murād

    iid aatī rahī māh-e-siyām aa gayā

    riñd jaane riñd īmān jaane shaġhl-e-riñd

    pand-go ke muñh tak aanā thā harām aa gayā

    ho gayā tark-e-talab naam ijz-e-hausla

    jis se ham Darte rahe vo ittihām aa gayā

    ab kaheñ kis se ki un se baat karnā hai gunāh

    jab kalām aayā zabāñ par lā-kalām aa gayā

    avval avval ḳhuub dauḌī kashtī-e-ahl-e-havas

    āḳhir āḳhir Duub marne maqām aa gayā

    rif.at-e-hastī ko pastī ne dikhāyā āsmāñ

    jhoñpaḌoñ tak ūñche mahloñ se salām aa gayā

    aa gayā hai ai falak zarroñ ko ehsās-e-ḳhudī

    maiñ samajhtā huuñ ki vaqt-e-intiqām aa gayā

    vo musalsal ab kahāñ tābānī-e-roz-e-nashāt

    rah-rav-e-maġhrūr dekhā vaqt-e-shām aa gayā

    hashr se achchhā rahā ik fitna-e-mahshar-ḳhirām

    phir tamām aatā na aatā nā-tamām aa gayā

    talḳh-kām afzā.ish-e-shīrīnī-e-ishrat huī

    aate aate ho ke zahr-ālūd jaam aa gayā

    baat kyā chhuptī ki thā apnā judā tarz-e-kalām

    naam aayā bhī na thā 'nātiq' ki naam aa gayā

    iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya

    zindagi ko ek haalat par qayam aa hi gaya

    ittifaqan is gali se le baDhi umr-e-rawan

    main to samjha tha ki ab mera maqam aa hi gaya

    ho gai aawaragardi be-ghari ki parda-dar

    kaam jitna hum ko aata tha wo kaam aa hi gaya

    bandagi-amoz bazm-e-zindagi bechaargi

    aadmi ko jab gharaz aTki salam aa hi gaya

    intizam-e-roz-e-ishrat aur kar ai na-murad

    id aati hi rahi mah-e-siyam aa hi gaya

    rind jaane rind ka iman jaane shaghl-e-rind

    pand-go ke munh tak aana tha haram aa hi gaya

    ho gaya tark-e-talab ka nam ijz-e-hausla

    jis se hum Darte rahe wo ittiham aa hi gaya

    ab kahen kis se ki un se baat karna hai gunah

    jab kalam aaya zaban par la-kalam aa hi gaya

    awwal awwal KHub dauDi kashti-e-ahl-e-hawas

    aaKHir aaKHir Dub marne ka maqam aa hi gaya

    rifat-e-hasti ko pasti ne dikhaya aasman

    jhonpaDon tak unche mahlon se salam aa hi gaya

    aa gaya hai ai falak zarron ko ehsas-e-KHudi

    main samajhta hun ki waqt-e-intiqam aa hi gaya

    wo musalsal ab kahan tabani-e-roz-e-nashat

    rah-raw-e-maghrur dekha waqt-e-sham aa hi gaya

    hashr se achchha raha ek fitna-e-mahshar-KHiram

    phir tamam aata na aata na-tamam aa hi gaya

    talKH-kaam afzaish-e-shirini-e-ishrat hui

    aate aate ho ke zahr-alud jam aa hi gaya

    baat kya chhupti ki tha apna juda tarz-e-kalam

    nam aaya bhi na tha 'natiq' ki nam aa hi gaya

    Source :
    • Deewan-e-Natiq
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now