ja-ba-ja zulmaton ka Dera hai
jā-ba-jā zulmatoñ kā Derā hai
bujh ga.ī sham'-e-ġham añdherā hai
'ishq ik kārvān-e-āgāhī
husn ik be-ḳhabar luTerā hai
shahr kī ḳhush-nasīb galiyoñ meñ
ham se bad-qismatoñ kā pherā hai
ik zamāna huā hai rūThe hue
ab bhī aa jā.iye saverā hai
ek lamhe kī raushnī hai 'nushūr'
vaqt ik mustaqil añdherā hai
ja-ba-ja zulmaton ka Dera hai
bujh gai sham'-e-gham andhera hai
'ishq ek karwan-e-agahi
husn ek be-KHabar luTera hai
shahr ki KHush-nasib galiyon mein
hum se bad-qismaton ka phera hai
ek zamana hua hai ruThe hue
ab bhi aa jaiye sawera hai
ek lamhe ki raushni hai 'nushur'
waqt ek mustaqil andhera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.