ja ke milta hun na apna hi pata deta hun
jā ke miltā huuñ na apnā hī patā detā huuñ
maiñ use hī nahīñ ḳhud ko bhī sazā detā huuñ
roz din bhar kī mashaqqat se uThātā huuñ jise
raat hote hī vo dīvār girā detā huuñ
kaun hai mujh meñ jo bāhar nahīñ aane paatā
kab se maiñ jism ke sahrā meñ sadā detā huuñ
kaun sā karb chhalaktā hai hañsī se merī
kaise hañstā huuñ ki duniyā ko rulā detā huuñ
Thokareñ khā ke sañbhaltā nahīñ lekin 'shāhid'
kam se kam raah ke patthar to haTā detā huuñ
ja ke milta hun na apna hi pata deta hun
main use hi nahin KHud ko bhi saza deta hun
roz din bhar ki mashaqqat se uThata hun jise
raat hote hi wo diwar gira deta hun
kaun hai mujh mein jo bahar nahin aane pata
kab se main jism ke sahra mein sada deta hun
kaun sa karb chhalakta hai hansi se meri
kaise hansta hun ki duniya ko rula deta hun
Thokaren kha ke sanbhalta nahin lekin 'shahid'
kam se kam rah ke patthar to haTa deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.