ja ke suraj se mila din mein bhi ghar se nikla
jā ke sūraj se milā din meñ bhī ghar se niklā
ba.ad muddat maiñ charāġhoñ ke asar se niklā
ab to mil jaatī haiñ har moḌ pe āñkheñ achchhī
terī āñkhoñ kā vo kāñTā bhī nazar se niklā
kitnī kam-go thī mirī jān-e-suḳhan vo ḳhushbū
baat karne kā bahāna bhī agar se niklā
jaane kis kis ko diye mere hazāroñ dil the
ye ḳhazāna mire siine ke khañDar se niklā
mujh ko to gardish-e-daurāñ ne diyā hai lahja
merā matlab to isī zer-o-zabar se niklā
vo bhī mahfil meñ chalī aa.ī hai pīchhe pīchhe
maiñ to ghar se isī tanhā.ī ke Dar se niklā
jis kī chhāñv meñ sukūñ paa.eñ suḳhan ke panchhī
peḌ vo merī hī mehnat ke samar se niklā
mujh ko le Duubī farāvānī ye sīm-o-zar kī
saarā mehnat kā mazā luqma-e-tar se niklā
ho-na-ho is meñ koī raaz chhupā hai 'aḳhtar'
kaam aksar to ḳhudā kā bhī bashar se niklā
ja ke suraj se mila din mein bhi ghar se nikla
baad muddat main charaghon ke asar se nikla
ab to mil jati hain har moD pe aankhen achchhi
teri aankhon ka wo kanTa bhi nazar se nikla
kitni kam-go thi meri jaan-e-suKHan wo KHushbu
baat karne ka bahana bhi agar se nikla
jaane kis kis ko diye mere hazaron dil the
ye KHazana mere sine ke khanDar se nikla
mujh ko to gardish-e-dauran ne diya hai lahja
mera matlab to isi zer-o-zabar se nikla
wo bhi mahfil mein chali aai hai pichhe pichhe
main to ghar se isi tanhai ke Dar se nikla
jis ki chhanw mein sukun paen suKHan ke panchhi
peD wo meri hi mehnat ke samar se nikla
mujh ko le Dubi farawani ye sim-o-zar ki
sara mehnat ka maza luqma-e-tar se nikla
ho-na-ho is mein koi raaz chhupa hai 'aKHtar'
kaam aksar to KHuda ka bhi bashar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.