ja na paoge kisi surat wo surat chhoD kar
jā na pāoge kisī sūrat vo sūrat chhoḌ kar
laakh koshish se chhupā.ī hai jo hasrat chhoḌ kar
kuchh na kahne se masā.il hal nahīñ hote kabhī
ghuTte rahnā zindagī bhar ik zarūrat chhoḌ kar
aatī haiñ jo ḳhushbueñ in khiḌkiyoñ se aaj bhī
ishq guzrā thā kabhī apnī ishārat chhoḌ kar
dil ko honā hai fanā rahnā hai qaa.em aql ko
hastī-e-ādam kahāñ jaa.e ye fitrat chhoḌ kar
bandagī meñ bhī hameñ koī ta.alluq chāhiye
miTTī kab rah paa.ī hai miTTī kī mūrat chhoḌ kar
tū sarāpā hai sukūñ ya.anī faqat sabr-o-qarār
dil to mar jā.egā lekin apnī hairat chhoḌ kar
ja na paoge kisi surat wo surat chhoD kar
lakh koshish se chhupai hai jo hasrat chhoD kar
kuchh na kahne se masail hal nahin hote kabhi
ghuTte rahna zindagi bhar ek zarurat chhoD kar
aati hain jo KHushbuen in khiDkiyon se aaj bhi
ishq guzra tha kabhi apni ishaarat chhoD kar
dil ko hona hai fana rahna hai qaem aql ko
hasti-e-adam kahan jae ye fitrat chhoD kar
bandagi mein bhi hamein koi talluq chahiye
miTTi kab rah pai hai miTTi ki murat chhoD kar
tu sarapa hai sukun yani faqat sabr-o-qarar
dil to mar jaega lekin apni hairat chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.