Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna

Shakeel Badayuni

jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    jāda-e-ishq meñ gir gir ke sambhalte rahnā

    paañv jal jaa.eñ magar aag pe chalte rahnā

    jalva-e-amn tumhīñ se hai mohabbat vaalo

    mahr-e-tābāñ tarah roz nikalte rahnā

    naġhma-e-ishq na ho ek dhun par qaa.im

    vaqt ke saath zarā raag badalte rahnā

    zindagī ko mah-o-anjum na ujālā deñge

    tum na in jhūTe khilaunoñ se bahalte rahnā

    hai yahī vaqt-e-amal johd-e-musalsal qasam

    be-sahāroñ tarah haath na malte rahnā

    zindagānī hai faqat garmī-e-raftār naam

    manzileñ saath liye raah pe chalte rahnā

    hai sitāroñ tarah mā.il-e-parvāz 'shakīl'

    dushmano tum ko qasam hai yūñhī jalte rahnā

    jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna

    panw jal jaen magar aag pe chalte rahna

    jalwa-e-amn tumhin se hai mohabbat walo

    mahr-e-taban ki tarah roz nikalte rahna

    naghma-e-ishq na ho ek hi dhun par qaim

    waqt ke sath zara rag badalte rahna

    zindagi ko mah-o-anjum na ujala denge

    tum na in jhuTe khilaunon se bahalte rahna

    hai yahi waqt-e-amal johd-e-musalsal ki qasam

    be-sahaaron ki tarah hath na malte rahna

    zindagani hai faqat garmi-e-raftar ka nam

    manzilen sath liye rah pe chalte rahna

    hai sitaron ki tarah mail-e-parwaz 'shakil'

    dushmano tum ko qasam hai yunhi jalte rahna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now