jada-e-mohabbat mein rah gae the hum tanha
jāda-e-mohabbat meñ rah ga.e the ham tanhā
varna kyā miTā saktā zindagī kā ġham tanhā
sah rahe haiñ ham donoñ hijr kā alam tanhā
us taraf haiñ vo tanhā is taraf haiñ ham tanhā
kyā milā miTā kar ham tīrgī ke māroñ ko
ab sañvāriye apnī zulf-e-ḳham-ba-ḳham tanhā
ham-safar na banñā thā saath chhoḌne vaale
ab chalā nahīñ jaatā ham se do qadam tanhā
jada-e-mohabbat mein rah gae the hum tanha
warna kya miTa sakta zindagi ka gham tanha
sah rahe hain hum donon hijr ka alam tanha
us taraf hain wo tanha is taraf hain hum tanha
kya mila miTa kar hum tirgi ke maron ko
ab sanwariye apni zulf-e-KHam-ba-KHam tanha
ham-safar na banna tha sath chhoDne wale
ab chala nahin jata hum se do qadam tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.