jaez hai us ka qatl hamare hisab se
jaa.ez hai us kā qatl hamāre hisāb se
jis ne mohabbatoñ ko nikālā nisāb se
tanqīd kar rahe haiñ kitāb-e-hayāt par
aage na baḌh sake jo kabhī intisāb se
maiñ sāhab-e-ḳhabar bhī nazar bhī junūñ bhī thā
jab tak rahā thā merā ta.alluq kitāb se
us vaqt ek sajda baḌe kaam aa gayā
maiñ jab guzar rahā thā anā ke azaab se
ik lamhe kā firāq havā.eñ na sah sakīñ
dariyā ki sharmsār rahegā habāb se
mujh se baḌe baḌe the gunahgār us jagah
be-kār Dar rahā thā maiñ yaum-e-hisāb se
kāñToñ ke ḳhauf se bhī larazte ho tum 'munīr'
aur ghar bhī chāhte ho sajānā gulāb se
jaez hai us ka qatl hamare hisab se
jis ne mohabbaton ko nikala nisab se
tanqid kar rahe hain kitab-e-hayat par
aage na baDh sake jo kabhi intisab se
main sahab-e-KHabar bhi nazar bhi junun bhi tha
jab tak raha tha mera talluq kitab se
us waqt ek sajda baDe kaam aa gaya
main jab guzar raha tha ana ke azab se
ek lamhe ka firaq hawaen na sah sakin
dariya ki sharmsar rahega habab se
mujh se baDe baDe the gunahgar us jagah
be-kar Dar raha tha main yaum-e-hisab se
kanTon ke KHauf se bhi larazte ho tum 'munir'
aur ghar bhi chahte ho sajaana gulab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.