jaga wahan nasib adu ka tamam raat
jaagā vahāñ nasīb adū kā tamām raat
maiñ be-qarāriyoñ se na soyā tamām raat
merī galī se us ko lagā le gayā raqīb
maiñ dekhtā hī rah gayā rasta tamām raat
thā bazm-e-ġhair meñ jo vahāñ shaġhl-e-daur-e-jām
dard-e-jigar kā thā yahāñ daurā tamām raat
muddat huī ki ḳhvāb se vāqif nahīñ hai aañkh
rahtā hai zulf-e-yār kā saudā tamām raat
paayā na tīrgī-e-shab-e-hijr meñ patā
mujh ko ajal ne ḳhuub hī DhūñDā tamām raat
dam bhar bhī mere dil ne na sone diyā use
royā kiyā ye hijr kā dhaḌkā tamām raat
sūhān-e-rūh thā shab-e-va.ada meñ intizār
lekin vo hīla-jū nahīñ aaya tamām raat
ye husn-e-yār ne kiyā hairāñ shab-e-visāl
taktā hī rah gayā ruḳh-e-zebā tamām raat
merā ḳhayāl hijr kī shab vasl ban gayā
pesh-e-nigāh yaar ko rakhā tamām raat
'akbar' shab-e-firāq meñ jaage mire nasīb
maiñ ne usī ko ḳhvāb meñ dekhā tamām raat
jaga wahan nasib adu ka tamam raat
main be-qarariyon se na soya tamam raat
meri gali se us ko laga le gaya raqib
main dekhta hi rah gaya rasta tamam raat
tha bazm-e-ghair mein jo wahan shaghl-e-daur-e-jam
dard-e-jigar ka tha yahan daura tamam raat
muddat hui ki KHwab se waqif nahin hai aankh
rahta hai zulf-e-yar ka sauda tamam raat
paya na tirgi-e-shab-e-hijr mein pata
mujh ko ajal ne KHub hi DhunDa tamam raat
dam bhar bhi mere dil ne na sone diya use
roya kiya ye hijr ka dhaDka tamam raat
suhan-e-ruh tha shab-e-wada mein intizar
lekin wo hila-ju nahin aaya tamam raat
ye husn-e-yar ne kiya hairan shab-e-visal
takta hi rah gaya ruKH-e-zeba tamam raat
mera KHayal hijr ki shab wasl ban gaya
pesh-e-nigah yar ko rakha tamam raat
'akbar' shab-e-firaq mein jage mere nasib
main ne usi ko KHwab mein dekha tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.