Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jagte hain sote hain

Nazeer Qaisar

jagte hain sote hain

Nazeer Qaisar

MORE BYNazeer Qaisar

    jāgte haiñ sote haiñ

    harf āñkheñ hote haiñ

    raushnī ke pyāle meñ

    uñgliyāñ Dubote haiñ

    sub.h jaisī āñkhoñ meñ

    āsmān sote haiñ

    jaisī niiñd hotī hai

    vaise ḳhvāb hote haiñ

    piine vaale paanī se

    log paañv dhote haiñ

    bārishoñ rātoñ ke

    din ajiib hote haiñ

    dhuup jaisī chiḌiyā ke

    saa.e par bhigote haiñ

    jab vo saath hotā hai

    ham akele hote haiñ

    jagte hain sote hain

    harf aankhen hote hain

    raushni ke pyale mein

    ungliyan Dubote hain

    subh jaisi aankhon mein

    aasman sote hain

    jaisi nind hoti hai

    waise KHwab hote hain

    pine wale pani se

    log panw dhote hain

    barishon ki raaton ke

    din ajib hote hain

    dhup jaisi chiDiya ke

    sae par bhigote hain

    jab wo sath hota hai

    hum akele hote hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now