jagte mein bhi KHwab dekhe hain
jāgte meñ bhī ḳhvāb dekhe haiñ
dil ne kyā kyā azaab dekhe haiñ
aaj kā din bhī vo nahīñ jis ke
har ghaḌī ham ne ḳhvāb dekhe haiñ
dūsre kī kitāb ko na paḌheñ
aise ahl-e-kitāb dekhe haiñ
kyā batā.eñ tumheñ ki duniyā meñ
log kitne ḳharāb dekhe haiñ
jhāñkte raat ke garebāñ se
ham ne sau āftāb dekhe haiñ
ham samundar pe dauḌ sakte haiñ
ham ne itne sarāb dekhe haiñ
jagte mein bhi KHwab dekhe hain
dil ne kya kya azab dekhe hain
aaj ka din bhi wo nahin jis ke
har ghaDi hum ne KHwab dekhe hain
dusre ki kitab ko na paDhen
aise ahl-e-kitab dekhe hain
kya bataen tumhein ki duniya mein
log kitne KHarab dekhe hain
jhankte raat ke gareban se
hum ne sau aaftab dekhe hain
hum samundar pe dauD sakte hain
hum ne itne sarab dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.