jah-o-hashmat ke liye rutba-o-izzat ke liye
jah-o-hashmat ke liye rutba-o-izzat ke liye
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
jāh-o-hashmat ke liye rutba-o-izzat ke liye
log badnām hue jaate haiñ shohrat ke liye
ab hameñ nang-e-jahāñ kahte haiñ kahne vaale
ham the mash.hūr zamāne meñ sharāfat ke liye
phuuT saktī haiñ kahīñ se bhī kashish kī kirneñ
parda-e-chashm hī kaafī nahīñ aurat ke liye
TuuT kar apne bikharne kā na hotā ehsās
tum na tayyār hue hote jo hijrat ke liye
anginat logoñ kī gumnām ḳhushī hai 'qaisar'
shā.irī maiñ nahīñ kartā kisī ḳhil.at ke liye
jah-o-hashmat ke liye rutba-o-izzat ke liye
log badnam hue jate hain shohrat ke liye
ab hamein nang-e-jahan kahte hain kahne wale
hum the mashhur zamane mein sharafat ke liye
phuT sakti hain kahin se bhi kashish ki kirnen
parda-e-chashm hi kafi nahin aurat ke liye
TuT kar apne bikharne ka na hota ehsas
tum na tayyar hue hote jo hijrat ke liye
anginat logon ki gumnam KHushi hai 'qaisar'
shairi main nahin karta kisi KHilat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.