jahil ko agar jehl ka inam diya jae
jāhil ko agar jehl kā in.aam diyā jaa.e
is hādisa-e-vaqt ko kyā naam diyā jaa.e
maiḳhāne kī tauhīn hai rindoñ kī hatak hai
kam-zarf ke hāthoñ meñ agar jaam diyā jaa.e
hai ḳhū-e-ayāzī hī sazāvār-e-malāmat
mahmūd ko kyuuñ ta.ana-e-ikrām diyā jaa.e
zid hai ki unheñ maan ke sarḳhīl-e-bahārāñ
ġhunchoñ kī taraf se koī paiġhām diyā jaa.e
ham maslahat-e-vaqt ke qaa.il nahīñ yaaro
ilzām jo denā hai sar-e-ām diyā jaa.e
behtar hai ki is bazm se uTh aa.iye 'mohsin'
sarqe ko jahāñ rutba-e-ilhām diyā jaa.e
jahil ko agar jehl ka inam diya jae
is hadisa-e-waqt ko kya nam diya jae
maiKHane ki tauhin hai rindon ki hatak hai
kam-zarf ke hathon mein agar jam diya jae
hai KHu-e-ayazi hi sazawar-e-malamat
mahmud ko kyun tana-e-ikram diya jae
zid hai ki unhen man ke sarKHil-e-bahaaran
ghunchon ki taraf se koi paigham diya jae
hum maslahat-e-waqt ke qail nahin yaro
ilzam jo dena hai sar-e-am diya jae
behtar hai ki is bazm se uTh aaiye 'mohsin'
sarqe ko jahan rutba-e-ilham diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.