jam chalne lage dil machalne lage anjuman jhum uThi bazm lahra gai

jam chalne lage dil machalne lage anjuman jhum uThi bazm lahra gai
Shamim Karhani
MORE BYShamim Karhani
jaam chalne lage dil machalne lage anjuman jhuum uThī bazm lahrā ga.ī
baa'd muddat jo mahfil meñ tum aa ga.e jaise be-jān qālib meñ jaan aa ga.ī
vo haiñ saaqī to phir ham ko bāda-kasho kyā chaman kī havas kyā bahāroñ kā ġham
un kī rangīñ nazar jis taraf uTh ga.ī phuul bikhrā ga.ī rang barsā ga.ī
vā'de hote rahe 'ahd hote rahe un ko aanā na thā vo na aa.e kabhī
yaad un kī magar aa ke har shām-e-ġham mujh ko samjhā ga.ī dil ko bahlā ga.ī
ek hī sehn-e-gul ek hī anjuman koī dard-āshnā koī nā-āshnā
sun ke rūdād-e-ġham ‘ishq-e-barbād kī roī shabnam to gul ko hañsī aa ga.ī
shauq piine kā aisā ziyāda na thā tark-e-tauba kā koī irāda na thā
par ghaTāoñ ne kuchh uTh ke bahkā diyā kuchh tabī'at bhī kam-baḳht lalchā ga.ī
husn jitnā Dhakā aur dilkash huā rang jitnā chhupā aur rangīñ huā
phuuT niklī shafaq ban ke ruḳhsār se vo adā-e-tabassum jo sharmā ga.ī
rang ḳhushbū sabā chāñd taare kiran phuul shabnam shafaq aabjū chāñdnī
un kī dilkash javānī kī takmīl meñ husn-e-fitrat kī har chiiz kaam aa ga.ī
zindagī bhī 'shamīm' ik chaman hai magar is chaman kī bahār-o-ḳhizāñ kuchh nahīñ
vo na aa.eñ to samjho ḳhizāñ ke haiñ din vo jo aa jaa.eñ samjho bahār aa ga.ī
jam chalne lage dil machalne lage anjuman jhum uThi bazm lahra gai
ba'd muddat jo mahfil mein tum aa gae jaise be-jaan qalib mein jaan aa gai
wo hain saqi to phir hum ko baada-kasho kya chaman ki hawas kya bahaaron ka gham
un ki rangin nazar jis taraf uTh gai phul bikhra gai rang barsa gai
wa'de hote rahe 'ahd hote rahe un ko aana na tha wo na aae kabhi
yaad un ki magar aa ke har sham-e-gham mujh ko samjha gai dil ko bahla gai
ek hi sehn-e-gul ek hi anjuman koi dard-ashna koi na-ashna
sun ke rudad-e-gham ‘ishq-e-barbaad ki roi shabnam to gul ko hansi aa gai
shauq pine ka aisa ziyaada na tha tark-e-tauba ka koi irada na tha
par ghaTaon ne kuchh uTh ke bahka diya kuchh tabi'at bhi kam-baKHt lalcha gai
husn jitna Dhaka aur dilkash hua rang jitna chhupa aur rangin hua
phuT nikli shafaq ban ke ruKHsar se wo ada-e-tabassum jo sharma gai
rang KHushbu saba chand tare kiran phul shabnam shafaq aabju chandni
un ki dilkash jawani ki takmil mein husn-e-fitrat ki har chiz kaam aa gai
zindagi bhi 'shamim' ek chaman hai magar is chaman ki bahaar-o-KHizan kuchh nahin
wo na aaen to samjho KHizan ke hain din wo jo aa jaen samjho bahaar aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.