Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan dete hi bani ishq ke diwane se

Agha Shayar Qazalbash

jaan dete hi bani ishq ke diwane se

Agha Shayar Qazalbash

MORE BYAgha Shayar Qazalbash

    jaan dete banī ishq ke dīvāne se

    sham.a haal na dekhā gayā parvāne se

    ātish-e-ishq se jal jal ga.e parvāne se

    pahle ye aag lagī kaaba o but-ḳhāne se

    sāqiyā girya-e-ġham se mujhe majbūr samajh

    ḳhuun ristā hai ye TuuTe hue paimāne se

    raat raat chaman meñ hai numūd-e-shabnam

    sub.h hote bikhar jā.eñge sab daane se

    dam-e-āḳhir tirī āñkhoñ balā.eñ le luuñ

    aur dam bhar jo na chhalke mire paimāne se

    haa.e kyā chiiz thiiñ vo mast nigāheñ 'shā.ir'

    jhūmtā-jhāmtā niklā huuñ parī-ḳhāne se

    jaan dete hi bani ishq ke diwane se

    shama ka haal na dekha gaya parwane se

    aatish-e-ishq se jal jal gae parwane se

    pahle ye aag lagi kaba o but-KHane se

    saqiya girya-e-gham se mujhe majbur samajh

    KHun rista hai ye TuTe hue paimane se

    raat ki raat chaman mein hai numud-e-shabnam

    subh hote hi bikhar jaenge sab dane se

    dam-e-aKHir teri aankhon ki balaen le lun

    aur dam bhar jo na chhalke mere paimane se

    hae kya chiz thin wo mast nigahen 'shair'

    jhumta-jhamta nikla hun pari-KHane se

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now