jaan di jis ke liye usko KHabar koi nahin
jaan di jis ke liye usko KHabar koi nahin
Daulat Ram Sabir Panipati
MORE BYDaulat Ram Sabir Panipati
jaan dī jis ke liye us ko ḳhabar koī nahīñ
ab khulā mujh par ki mar miTnā hunar koī nahīñ
aa hī pahuñchī ik darīche se shuā-e-āftāb
maiñ ye samjhā thā shab-e-ġham kī sahar koī nahīñ
aaj kis kī jaan se kheloge ai chāragaro
aaj pahlū meñ mire zaḳhm-e-jigar koī nahīñ
zāviya-hā-e-nazar meñ aah itnā iḳhtilāf
go tirī tahrīr meñ zer-o-zabar koī nahīñ
sañg-rezoñ se huā jaatā hai dāman taar taar
jāma-e-tahrīr meñ mere guhar koī nahīñ
baj uThī 'sābir' havā ke zor se zanjīr-e-dar
maiñ ye samjhā thā koī aayā magar koī nahīñ
jaan di jis ke liye us ko KHabar koi nahin
ab khula mujh par ki mar miTna hunar koi nahin
aa hi pahunchi ek dariche se shua-e-aftab
main ye samjha tha shab-e-gham ki sahar koi nahin
aaj kis ki jaan se kheloge ai chaaragaro
aaj pahlu mein mere zaKHm-e-jigar koi nahin
zawiya-ha-e-nazar mein aah itna iKHtilaf
go teri tahrir mein zer-o-zabar koi nahin
sang-rezon se hua jata hai daman tar tar
jama-e-tahrir mein mere guhar koi nahin
baj uThi 'sabir' hawa ke zor se zanjir-e-dar
main ye samjha tha koi aaya magar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.