jaan di kis ke liye hum ye bataen kis ko
jaan dī kis ke liye ham ye batā.eñ kis ko
kaun kyā bhuul gayā yaad dilā.eñ kis ko
jurm kī tarah mohabbat ko chhupā rakkhā hai
ham gunahgār nahīñ haiñ ye batā.eñ kis ko
ruuTh jaate to manānā koī dushvār na thā
vo ta'alluq hī na rakkheñ to manā.eñ kis ko
kaun detā hai yahāñ ḳhvāb-e-junūñ kī tā'bīr
ḳhvāb ham apne sunā.eñ to sunā.eñ kis ko
koī pursān-e-vafā hai na pashīmān-e-jafā
zaḳhm ham apne dikhā.eñ to dikhā.eñ kis ko
chāk-e-dil chāk-e-garebāñ to nahīñ ham-nafaso
ham ye tasvīr sar-e-bazm dikhā.eñ kis ko
kaun is shahr meñ suntā hai fuġhān-e-durvesh
apnī āshufta-bayānī se rulā.eñ kis ko
ho gayā ḳhaak rah-e-kū-e-malāmat 'aḳhtar'
raah par laa.eñ jo ahbāb to laa.eñ kis ko
jaan di kis ke liye hum ye bataen kis ko
kaun kya bhul gaya yaad dilaen kis ko
jurm ki tarah mohabbat ko chhupa rakkha hai
hum gunahgar nahin hain ye bataen kis ko
ruTh jate to manana koi dushwar na tha
wo ta'alluq hi na rakkhen to manaen kis ko
kaun deta hai yahan KHwab-e-junun ki ta'bir
KHwab hum apne sunaen to sunaen kis ko
koi pursan-e-wafa hai na pashiman-e-jafa
zaKHm hum apne dikhaen to dikhaen kis ko
chaak-e-dil chaak-e-gareban to nahin ham-nafaso
hum ye taswir sar-e-bazm dikhaen kis ko
kaun is shahr mein sunta hai fughan-e-durwesh
apni aashufta-bayani se rulaen kis ko
ho gaya KHak rah-e-ku-e-malamat 'aKHtar'
rah par laen jo ahbab to laen kis ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.