jaan-e-jaan meri ye jaan ka masala hai
jān-e-jāñ merī ye jaañ kā mas.ala hai
sirf terī ek haañ kā mas.ala hai
kuchh to merā bhī nishāna hai nahīñ Thiik
aur kuchh tīr-o-kamāñ kā mas.ala hai
ye zamīn-o-āsmāñ pakke adū haiñ
ḳhalq un ke darmiyāñ kā mas.ala hai
jo tirī baa.eñ hathelī par dikhā thā
ye laḌā.ī us nishāñ kā mas.ala hai
ye firāq āshuftagī girya ye vahshat
ek qalb-e-nā-tavāñ kā mas.ala hai
maiñ bhī lag-bhag tujh se bāhar aa chukā huuñ
ḳhair tū bhī ab fulāñ kā mas.ala hai
jaan-e-jaan meri ye jaan ka masala hai
sirf teri ek han ka masala hai
kuchh to mera bhi nishana hai nahin Thik
aur kuchh tir-o-kaman ka masala hai
ye zamin-o-asman pakke adu hain
KHalq un ke darmiyan ka masala hai
jo teri baen hatheli par dikha tha
ye laDai us nishan ka masala hai
ye firaq aashuftagi girya ye wahshat
ek qalb-e-na-tawan ka masala hai
main bhi lag-bhag tujh se bahar aa chuka hun
KHair tu bhi ab fulan ka masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.