jaan-e-suKHan bhi muddaa-e-ruh bhi
jān-e-suḳhan bhī mudda.ā-e-rūh bhī
vo shaḳhs hai maddāh bhī mamdūh bhī
zauq-e-tamannā se tire sarshār dil
tīr-e-taġhāful se magar majrūh bhī
dil ko aziyyat de ke yuuñ sarkash na ho
tūfāñ na le aa.e kahīñ ye nuuh bhī
andher hai māl-e-ġhanīmat jaan kar
luuTī ga.ī hai ismat-e-maftūh bhī
kis ḳhānamāñ-barbād meñ phūñkā hameñ
ye sochtī hogī hamārī ruuh bhī
jaan-e-suKHan bhi muddaa-e-ruh bhi
wo shaKHs hai maddah bhi mamduh bhi
zauq-e-tamanna se tere sarshaar dil
tir-e-taghaful se magar majruh bhi
dil ko aziyyat de ke yun sarkash na ho
tufan na le aae kahin ye nuh bhi
andher hai mal-e-ghanimat jaan kar
luTi gai hai ismat-e-maftuh bhi
kis KHanaman-barbaad mein phunka hamein
ye sochti hogi hamari ruh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.