Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho

Muzaffar Shikoh

jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho

Muzaffar Shikoh

MORE BYMuzaffar Shikoh

    jaan ik but pe fidā karte ho kyā karte ho

    phir bhī ummīd-e-vafā karte ho kyā karte ho

    ham se paimān-e-vafā karte ho kyā karte ho

    tark dastūr-e-vafā karte ho kyā karte ho

    va.ada karte ho vafā karte ho kyā karte ho

    jurm-e-qānūn-e-jafā karte ho kyā karte ho

    kar ke kaunain ko zanjīrī-e-gesū-e-darāz

    zulf-e-pechāñ ko dutā karte ho kyā karte ho

    ḳhaak meñ ham ko milāyā to bahut ḳhuub kiyā

    ab pashemān huā karte ho kyā karte ho

    ham ko ḳhud kar ke giraftār-e-balā hazrat-e-dil

    ab ye kahte ho burā karte ho kyā karte ho

    ghar jo zindāñ hai to vīrāna banā detā thā

    dar-o-dīvār takā karte ho kyā karte ho

    ḳhūn-e-dil ashkoñ se bolā ye umañD kar kal raat

    aap aap bahā karte ho kyā karte ho

    pairahan jo ki garebāñ rahā aur na jeb

    is ko baiThe jo siyā karte ho kyā karte ho

    jaan ek but pe fida karte ho kya karte ho

    phir bhi ummid-e-wafa karte ho kya karte ho

    hum se paiman-e-wafa karte ho kya karte ho

    tark dastur-e-wafa karte ho kya karte ho

    wada karte ho wafa karte ho kya karte ho

    jurm-e-qanun-e-jafa karte ho kya karte ho

    kar ke kaunain ko zanjiri-e-gesu-e-daraaz

    zulf-e-pechan ko duta karte ho kya karte ho

    KHak mein hum ko milaya to bahut KHub kiya

    ab pasheman hua karte ho kya karte ho

    hum ko KHud kar ke giraftar-e-bala hazrat-e-dil

    ab ye kahte ho bura karte ho kya karte ho

    ghar jo zindan hai to virana bana deta tha

    dar-o-diwar taka karte ho kya karte ho

    KHun-e-dil ashkon se bola ye umanD kar kal raat

    aap hi aap baha karte ho kya karte ho

    pairahan jo ki gareban hi raha aur na jeb

    is ko baiThe jo siya karte ho kya karte ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now