jaan jae agar to jaane de
jaan jaa.e agar to jaane de
apnī tasvīr to banāne de
āḳhir aisī bhī kyā hai had-bandī
haath ko haath tak to aane de
ek hī aag kā bujhānā kyā
dūsrī aag bhī lagāne de
kyā zarūrī hai ḳhud ko khoyā jaa.e
pā rahā huuñ tujhe so paane de
dastakeñ kyuuñ havā pe detā hai
dar-o-dīvār to banāne de
maiñ nayā pairahan badal dūñgā
daaġh aatā hai ab to aane de
zindagī to hameñ pasand aa.ī
ab hameñ apne ghar bhī jaane de
terī zulfoñ meñ tīrgī hai bahut
lā mujhe raushnī banāne de
rāsta gar nahīñ to phir 'mohsin'
mujh ko be-rāsta hī jaane de
jaan jae agar to jaane de
apni taswir to banane de
aaKHir aisi bhi kya hai had-bandi
hath ko hath tak to aane de
ek hi aag ka bujhana kya
dusri aag bhi lagane de
kya zaruri hai KHud ko khoya jae
pa raha hun tujhe so pane de
dastaken kyun hawa pe deta hai
dar-o-diwar to banane de
main naya pairahan badal dunga
dagh aata hai ab to aane de
zindagi to hamein pasand aai
ab hamein apne ghar bhi jaane de
teri zulfon mein tirgi hai bahut
la mujhe raushni banane de
rasta gar nahin to phir 'mohsin'
mujh ko be-rasta hi jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.