jaan jae haq ki KHatir aae jab bari meri
jaan jaa.e haq kī ḳhātir aa.e jab baarī mirī
kaam kuchh aa.e mirā sar aur sardārī mirī
kyoñ tirī TuuTī surāhī ḳhum tirā ḳhālī huā
aa.ī hai jab aaj mere sāqiyā baarī mirī
dil kī rakh ke dil meñ apne dil kisī kā rakh liyā
dil mirā bismil sahī tū dekh dildārī mirī
zikr merā aa.egā mahfil meñ jab jab dosto
ro paḌeñge yaad kar ke yaar sab yaarī mirī
ḳhaak ho kar hī mile shāyad vafā kā kuchh sila
aazmā jaise rahe haiñ vo vafādārī mirī
maiñ sitāroñ ko kabhī kā chhū chukā hotā 'sadā'
aa.ī aaḌe rāste meñ bas-ki ḳhuddārī mirī
jaan jae haq ki KHatir aae jab bari meri
kaam kuchh aae mera sar aur sardari meri
kyon teri TuTi surahi KHum tera KHali hua
aai hai jab aaj mere saqiya bari meri
dil ki rakh ke dil mein apne dil kisi ka rakh liya
dil mera bismil sahi tu dekh dildari meri
zikr mera aaega mahfil mein jab jab dosto
ro paDenge yaad kar ke yar sab yari meri
KHak ho kar hi mile shayad wafa ka kuchh sila
aazma jaise rahe hain wo wafadari meri
main sitaron ko kabhi ka chhu chuka hota 'sada'
aai aaDe raste mein bas-ki KHuddari meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.